Agar Main Kahoon
Alka Yagnik
agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai
meri bas yehi chaahat hai toh kya kahogi
agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai
meri bas yehi chaahat hai toh kya kahogi
main tumse kahoongi, is baat ko agar tum
zara aur saja ke kehte, zara ghooma-phira ke kehte
toh achcha hota
agar main kahoon
tumko jab dekhoon lagti ho jaise nayi
honth hain pankhadi phool ki
aankhein jaise jugnu chamke huwe
soche mera ye dil dhadakte huwe
agar main kahoon?
agar main kahoon ye jo chehra hai
jaise koyi chaand hai toh kya kahogi
main tumse kahoongi
mujhko bhoole se bhi chaand tum na kaho
chaand mein toh kayin daag hai
mujhe phool na kehna woh murjhaate hain
jugnu bhi na kehna woh kho jaate hain
ye baatein puraani hai, jo mujhko sunaani hai
kissi aur adaa se kehte, zara ghooma-phira ke kehte
toh achcha hota
agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai
meri bas yehi chaahat hai toh kya kahogi
agar main kahoon
baatein sunke tumhaari main hairaan hoon
jo bhi kehna hai kaise kahoon
lagta tumhein kuchh bhi achcha nahin
sach ko bhi kehti ho sachcha nahin
agar main kahoon..
agar main kahoon tumhein pata nahin hai kyun
hai pyaar mujhe bhi tumse toh kya kahoge
main tumse kahoonga, mere dil ka hai ye kehna
ham ko hai saath mein rehna
ye dono ke dil mein hai na toh phir kyun kehna
agar main kahoon
toh main tumse kahoongi