Naina
Arijit Singh
jhootha jag rain basera
saancha dard mera
mrig-trishna sa moh piya
naata mera tera
naina jo saanjhe khwab dekhte the
naina bichad ke aaj ro diye hain yun
naina jo milke raat jaagte the
naina sehar mein palken meechte hain yun
juda huye kadam
jinhone li thi ye kasam
milke chalenge hardum
ab baant'te hain ye gham
bheege naina jo khidkhiyon se jhankte the
naina ghutan mein band ho gaye hai yun
saans hairaan hai
mann pareshaan hai
ho rahi si kyun ruaansa ye meri jaan hai
kyun nirasha se hai
aas haari huyi
kyun sawaalon ka utha sa
dil mein toofaan hai
naina thhe aasmaan ke sitaare
naina grahan mein aaj toot'te hain yun
naina kabhi jo dhoop senkte thhe
naina thehar ke chhaaon dhoondhte hain yun
juda huye kadam
jinhone li thi ye kasam
milke chalenge hardum
ab baant'te hain ye gham
bheege naina jo sanjhe khwab dekhte the
naina bichhad ke aaj ro diye hain yun