Humnava Mere
Jubin Nautiyal
barson ho gaye bichhde
ab saath nahi ho tum
phir aisa kyun lagta hai
jahaan main hoon wahin ho tum
kya karoon main apni ungliyon ka
kisi ki bhi tasveer banaaun
tumhari ban jaati hai
ye sirf mera pagalpan hai
ya tum bhi mere liye pagal thi
kal raaste mein gham mil gaya tha
lag ke gale main ro diya
jo sirf mera tha sirf mera
maine use kyun kho diya
haan woh aankhein jinhe main
choomta tha bewajah
pyaar mere liye kyun
un mein baaqi na raha
ho
humnava mere
tu hai to meri saansein chale
bata de kaise main jiyunga
tere bina
ho humnava mere
tu hai to meri saansein chale
bata de kaise main jiyunga
tere bina
har waqt dil ko jo sataaye
aisi kami hai tu
main bhi na jaanu ye
ki itna kyun laazmi hai tu
neendein jaake na lauti
kitni raatein dhal gayi
itne taare gine ki
ungliyaan bhi jal gayi
ho
humnava mere
tu hai to meri saansein chale
bata de kaise main jiyunga
tere bina
ho humnava mere
tu hai to meri saansein chale
bata de kaise main jiyunga
tere bina
tu aakhri aansu o yaara
hai aakhri tu gham
dil ab kahaan hai jo dobara
de dein kisi ko hum
apni shaamon mein hissa
phir kisi ko na diya
ishq tere bina bhi
maine tujhse hi kiya
humnava mere
tu hai to meri saansein chale
bata de kaise main jiyunga
mere bina
ho
faasle na de ki
main hu aasre tere
bata de kaise main jiyunga
tere bina
aazma raha mujhe kyun
aa bhi ja kahin se ab tu
kaise main jiyunga tere bina
seene mein jo dhadkane hain
tere naam pe chale hain
kaise main jiyunga tere bina
jawaab mill gaya mujhe
main tumhari zindagi mein kahin nahi tha
phir bhi main hi tumhari zindagi tha
sirf main hi tumhaare liye pagal nahi tha
tum bhi
humnava mere
tu hai to meri saansein chale
bata de kaise main jiyunga
tere bina