Lut Gaye
Jubin Nautiyal
Maine jab dekha tha tujhko
Raat bhi woh yaad hai mujhko
Taare ginte ginte so gaya
Dil mera dhadka tha kass ke
Kuch kaha tha tune hans ke
Main usi pal tera ho gaya
Aasmanon pe jo khuda hai
Usse meri yehi dua hai
Chaand yeh har roz main dekhun
Tere saath mein
Aankh uthi mohabbat ne angdayi li
Dil ka sauda hua chandni raat mein
Ho teri nazron ne kuch aisa jaadu kiya
Lut gaye hum to pehli mulakaat mein
Ho aankh uthi
Paanv rakhna na zameen par
Jaan ruk ja tu ghadi bhar
Thode taare to bichha doon
Main tere vaaste
Aazma le mujhko yaara
Tu zara sa kar ishara
Dil jala ke jagmaga doon
Main tere raaste
Mere jaisa ishq mein pagal
Phir mile ya na mile kal
Sochna kya haath yeh de de
Mere haath mein
Aankh uthi mohabbat ne angdayi li
Dil ka sauda hua chandni raat mein
Ho teri nazron ne kuch aisa jaadu kiya
Lut gaye hum to pehli mulakaat mein
Ho aankh uthi
Haan kisse mohabbat ke
Hain jo kitaabon mein
Sab chahta hoon main
Sang tere dohrana
Kitna zaroori hai
Ab meri khatir tu
Mushqil hai mushqil hai
Lafzon mein keh paana
Ab to yeh aalam hai
Tu jaan maange toh
Main shauk se de doon
Saughaat mein
Aankh uthi mohabbat ne angdayi li
Dil ka sauda hua chandni raat mein
Ho teri nazron ne kuch aisa jaadu kiya
Lut gaye hum to pehli mulakaat mein
Ho aankh uthi
Lut gaye hum to teri mohabbat mein